#AajKiStory hai Sameer ki. Nahi, Wo Golmal wale laal chaddi pehenne wale Sameer ki nahi. Kisi chote se mohalle ke ek Sameer ki.

Sameer khel raha tha jo ghar ke saamne se jaati hui gali me. Goliyan khel raha tha. Marbles bhi kehte hain jise kuch. Aaj fir apni saari goliyan haar baitha tha bechaara. Susta ke khada hua tha ek kone me. Apni neeli kameez aur kaali nicker me. Apne chehre ko latkaye roz ki tarah.

Tabhi achanak se pados waale Raheem ke Abba ek chote kad ki atlas ko apni Gaadi me rakhkar pass se guzre. Raheem Goliyan chodke daud Chala., Chillate hue “meri cycle meri cycle” Maano isse badi haseen cheez dekhi hi na ho kabhi.

Thodi der baad, raheem haazir tha apni laal atlas leke.. Saath me uske Abba use chalane ka tareeqa batate hue. Baaki mohalle ke bache bhi saath me uski hosla-afzaayi karte hue. Aur kuch, “mujhe bhi sikha dijie, chacha” ka shor karte hue.

Kuch door se Sameer ki ammi ne use awaaaz lagayi to Wo daud Chala ghar ki taraf. Wahin Raheem cycle chalana seekh raha tha, mohale ke shor ke beech.

Usne pehli baar cycle ka aisa craze dekha tha.Sochta raha ki kash Abbu uske liye bhi kle aate,par use pata tha Aisa nahi hoga

Kuch mahine isi uljhan me beet gaye, ki Abbu ko bolun ya nahi ?? Ghar ki haalat us bache se chupi bhi to nahi thi. Zehen bhale hi chota tha.. Par tarbiyat ammi Abbu ne di hi kuch aisi thi.. Par tha bhi to bacha hi na ?? Aakhirkar…

Aakhirkar bol hi diya, “Abbu mujhe bhi raheem jaisi cycle chahiye.” Abbu ne suna to zaroor. Par doosri baat me ulajh gaye. Sameer apni ammi ki taraf Dekhne laga.. Aur fir Waise hi mayoos hote hue goli khelne chal diya

Hota yun hai, ki aksar log apna gam aur gussa, khaane pe hi nikaalte hain. Sameer kahan alag tha ? fir thehra bachaa hi na..

Ye kissa ek aad Hafte chalta raha..

Aisi hi ek shaam ko goliyan khelte hue.. Sameer ne dekha ki uske Abbu rickshe me baithe hue aarahe hain..

Abbu ke chehre par ek Badi se muskaan thi.. Waise hi jab Wo Sameer ke avval hone ke baad laate the chehre par, uske report-card ko dekhke.

Jab Abbu pass aagaye tab, Wahi muskaan firse Sameer ke chehre par thi.. Atlas ki laal rang ki Dikh jo gayI thi use 🙂

To ye thi #AajKiStory. Ummeed hai Aapne padhi. Raay zaroor den 🙂